Roman script

mai soya ankhiya miche, teri zulfo ke niche
duniya ko bhul diwani,  ab raha zamana pichhe
mai soya ankhiya miche
ye kaun hansi sharmaya, taro ko pasina aaya
hirni ki aankhe lekar, dil kaun chura le aaya 
dil kaun chura le aaya 
mai soyi ankhiya miche, teri baho ke niche
ab chahe kahi bhi le ja, tu aage aur mai pichhe
mai soya ankhiya miche
ye mere nain kuware, teri ankhiya dekh ke hare
ho janam janam ke sathi, meri mang me bhar de tare
meri mang me bhar de tare
mai soya ankhiya miche, teri zulfo ke niche
duniya ko bhul diwani, ab raha zamana pichhe
mai soya ankhiya miche

Song details

Song video

Watch on YouTube

singer: Mohammed Rafi, Asha Bhosle

actor: Madhubala, Bharat Bhushan