Roman script

mai ri mai

mai ri mai

main baadal ki bitiya

mai ri mai

main saawan ki nadiya

do pal ka joban

do pal thitholi

boondon saji hai

chunar meri choli

do pal ka joban

do pal thitholi

boondon saji hai

chunar meri choli

ufan kar chali main

saagar se milne

ufan kar chali main

saagar se milne

le kar ke thodi si

tirchi dagariya

mai ri mai

ho mai ri mai

main baadal ki bitiya

mai ri mai

main saawan ki nadiya

jharna bani main dhaar bahi

ho jharna bani main dhaar bahi

uchhali main kudi main, nichhal rahi

sohbat le chanda ki jhilmil chandaniya

ho mai ri mai

ho mai ri mai

main baadal ki bitiya

mai ri mai

main saawan ki nadiya

Explore this song