Roman script

main janti hu tum na aaoge kabhi piya

phir bhi tumhari raah me jala rahi deeya

o piya, o piya

lekar phulo ki raat me taro ki aarti

lekar phulo ki raat me taro ki aarti

o devta, o devta

main der se rasta niharti

rasta niharti

malum hai mujhe ke mil na payega jiya

phir bhi tumhari raah me jala rahi deeya

o piya, o piya

main maanti hu tum na pahnoge kabhi ye haar

main maanti hu tum na pahnoge kabhi ye haar

aanchal me sukh jayenge aansu ke har singaar

aansu ke har singaar

kitne hai tute haar ko gale laga liya

phir bhi tumhari raah me jala rahi deeya

o piya, o piya

pure baras me ek din aane ki baat thi

pure baras me ek din aane ki baat thi

is paar aa ,is paar aake

hilmil jane ki baat thi

thi aane ki baat thi

wada kiya tumhi ne, tumhi ne bhula diya

phir bhi tumhari raah me jala rahi deeya

o piya, o piya

main janti hu tum na aaoge kabhi piya

phir bhi tumhari raah me jala rahi deeya

o piya, o piya

Explore this song