Roman script

mai jahan rahu, mai kahi bhi hu

teri yaad saath hai

mai jahan rahu, mai kahi bhi hu

teri yaad saath hai

kisi se kahu, ke nahi kahu, ye jo dil ki baat hai

kehne ko saath apane ek duniya chalti hai

par chhupke is dil me tanhaayi palti hai

bas yaad saath hai, teri yaad saath hai

teri yaad saath hai, teri yaad saath hai

mai jahan rahu, mai kahi bhi hu

teri yaad saath hai

kahi to dil me yaado ki, ek sui gad jaati hai

kahi har ek tasvir bahut hi dhundali pad jaati hai

koyi nayi duniya ke naye rango me khush rehta hai

koyi sab kuchh paake bhi 

ye man hi man kehta hai

kehne ko saath apne ek duniya chalti hai

per chhupke is dil me tanhaayi palti hai

bas yaad saath hai, teri yaad saath hai

teri yaad saath hai, teri yaad saath hai

kahi toh bite kal ki jade, dil me hi utar jaati hai

kahi jo dhage tute to malaaye bikhar jaati

koyi dil me jagah nayi, baato ke liye rakhta hai

koyi apni palko par yaado ke deeye rakhta hai

kehne ko saath apne ek duniya chalti hai

per chhupke is dil me tanhaayi palti hai

bas yaad saath hai, teri yaad saath hai

teri yaad saath hai, teri yaad saath hai

Explore this song