Roman script

main hun miss bambai, main hun miss bambai

nazro se dil lut ke laai

jaha jaha main gai

main hun miss bambai, main hun miss bambai

rock and roll ke taal pe naachu

english band ke saath

duniya rasta chhode jab main bas stand pe aaun

ek akeli jaan hai meri chaahne waale kai

main hun miss bambai, are main hun miss kalkatta

main hun miss kalkatta

husn hai mera chikna chikna

jaise paan ka patta

main hun miss kalkatta, main hun miss kalkatta

ek ishaare se badlu dilwaalo ki takdire

jisko chaahun main pahna dun ulfat ki janjire

aankho ki kenchi se kaatu sabke dil ka patta

main hun miss kalkatta, are main to hun miss dilli

main to hun miss dilli

dilwaalo ka rasta kaatu ban kar kaali billi

main to hun miss dilli, main to hun miss dilli

meri adaa me meri jaba me bijli ki si tezi

hindustaani bolu isme mix karu angrezi

jo koi bhi ?? jatlaaye, keh dun who you billi

main to hun miss dilli, are main hun miss bambai

main hun miss bambai

nazro se dil lut ke laai

jaha jaha main gai

main hun miss bambai, main hun miss bambai

Explore this song