Roman script

adawat ko mohabbat, dushmani ko dosti di hai

arab ke noor ne, sare jaha ko roshni di hai

madine ki madine ki, madine ki madine ki 

galio se aawaz aayi

madine ki galio se aawaz aayi 

mohammad ke jalwo se roshan khudai

mohammad ke jalwo se roshan khudai 

ha madine ki ho madine ki

madine ki galio se aawaz aayi 

ha madine ki galio se aawaz aayi

teri har bat noorani tera paigam kurbani 

mahakte geshuo wale 

mahakte geshuo wale ha ha ji geshuo wale

teri duniya hai diwani teri

tu yar khuda dildar khuda jalwa hai tera 

didare khuda darbar tera darbare khuda 

darbar tera darbare khuda

ye do dosto ki hasi dosti hai 

chupa hai koi koi jalwanuma hai

shariyat na roke mai saf kah du 

shariyat na roke to mai saf kah du

khuda hai mohabbat, mohabbat khuda hai

azano se sari fiza jagmagaye 

madine ki ho madine ki

madine ki galiyo se aawaz aayi 

ha madine ki galiyo se aawaz aayi

ye dunia aani jani hai ,yaha har chiz fani hai 

jo aata hai wo jata hai, jo jata hai rulata hai

safar me jindgani hai, adhuri har kahani hai

ye hasti ek dheraa hai, saray me basera hai

izzat shohrat daulat azmat aate jate saye

tere alawa shahe madina koi kam na aaye

o aaka koi kam na aaye data koi kam na aaye

maula koi kam na aaye

andhero ne ghera hai parda utha de

tere pas aaya hu rasta dikha de

tere pas aaya hu rasta dikha de

tere nam se sara aalam hai roshan

meri teera bhakti ko bhi jagmaga de

meri teera bhakti ko bhi jagmaga de

nafrat ki kali duniya me leke ujala aaya

maula duniya ke dukh dard mitane

kamli wala aaya, mera kamli wala aaya

tera kamli wala aaya

sabka kamli wala aaya

andher me jaise kiran muskurai

mohammad ke jalwo se roshan khudai

ha madine ki ho madine ki

madine ki galiyo se aawaz aayi

ha madine ki galiyo se aawaz aayi

chirage noor rabba ni allah

nahi tera koi sani allah

sahara besaharo ka allah

dilasa gum ke maro ka allah

hanima dai ke pale allah

arab ke bakario wale allah

juba kuran hai teri allah

shariyat shan hai teri allah

tere dar pe jo aaye wo tera ho jaye

chahe kaisi bhi aafat ho

us par aanch na aaye

jo tujhse lau lagata hai

khuda usko bachata hai

khuda usko bachata hai

tera majhab mohabbat hai

sharafat hai sadakat hai

auro ke liye jo jeeta hai

auro ke liye jo marta hai

wo sahibe iman hota hai

wo sachi ibadat karta hai

har gum ki dawa arman hai tera

har dil ka suku roza hai tera

ae shahe umag sartaje haram

teri bhi taraf ho chasme karam

jaha me hai roshan teri dilrubaai

mohammad ke jalwo se roshan khudai

ha madine ki ho madine ki

madine ki galiyo se aawaz aayi

ha madine ki galiyo se aawaz aayi

Explore this song