Roman script

madhur madhur dur koyi baasuri bajaaye baasuri bajaaye

pawan dekh taal yeh tan thirak thirak jaaye thirak thirak jaaye

kanwal kanwal kisne khilaaya kanwal kanwal kisne khilaaya

kanwal kanwal

kanwal kanwal kisne khilaaya kisne yeh jaadu jagaaya

subah subah surya kiran subah subah surya kiran 

sona barsaaye sona barsaaye

madhur madhur dur koyi baasuri bajaaye baasuri bajaaye

daaliyo ne bina jhankaayi panchhiyon ne ragini sunaayi 

bhanvra bhi gun gun gun bhanvra bhi gun gun gun

prem git gaye prem git gaaye

madhur madhur dur koyi baasuri bajaaye baasuri bajaaye

chhalki hai bhor ki gagariya dhalki hai rup ki chunariya

khili khili kaliyo ko pawan mehkaye pawan mehkaaye

madhur madhur dur koyi baasuri bajaaye baasuri bajaaye

jivan hai meraa paheli mele me bhi mai akeli 

mann kaa papiha bas mann kaa papiha bas 

pihu pihu gaye pihu pihu gaaye

madhur madhur dur koyi baasuri bajaaye baasuri bajaaye

madhur madhur dur koyi baasuri bajaaye baasuri bajaaye

pawan dekh taal yeh tan thirak thirak jaaye thirak thirak jaaye

madhur madhur dur koyi baasuri bajaaye baasuri bajaaye

Explore this song