Roman script

madhosiya hai tanhaiya hai

baho me aao sajan o sajan

jhil si gehri aankho me teri

aa dub jau sanam o sanam

saanso me samil kar do tum saanso

kano me keh do tum dil ki baate

ye duriya tum mita do tumhe hai kasam

madhosiya hai tanhaiya hai

baho me aao sajan o sajan

tune chua aisa laga jaise koi jadu chala

mai to diwani hui teri o sajan ho milan

hotho ki lali chura lunga janam

ye dil tera aashiq hua

aisi nigaho se dekha hai tune

chaya hai mujhpe nasha hi nasha

ye kya hua jara jara sa dard hai dil me pyar ka

madhosiya hai tanhaiya hai

baho me aao sajan o sajan

aanchal tera tan se uda pagal mera dil ye hua

chhodo bhi ab ye sharm ye sharm o sanam

ji chahta ke baho me teri sara jahan mai bhula du

tu kahe to tere liye mai jaan bhi apni luta

mere piya kabhi na bhul payenge ham aaj ka milan

madhosiya hai tanhaiya hai

baho me aao sajan o sajan

jhil si gehri aankho me teri

aa dub jau sanam o sanam

saanso me shamil kar do tum saanse

kano me keh do tum dil ki baate

ye duriya tum mita do tumhe hai kasam

Explore this song