Roman script

machhali tadpe jaal mein 

main tadpu karke pyar

andar ghat tak pyas hai 

aur nas nas mein angaar

bata de re goriya, hai wo kaun rasiya 

jo manva churaye is tarah 

bata de re goriya, hai wo kaun rasiya 

jo manva churaye is tarah 

wo chhaliya, wo rasiya, julmi man basiya 

wo chhaliya, wo rasiya, haye julmi man basiya 

nainan se milaye ke nain wo

lute nindiya aur chain wo ha

wo chhaliya, wo rasiya

bigdi banat banat ban gayi

goriya manat manat man gayi 

agni jalat jalat jal gayi 

chunari dhalat dhalat dhal gayi 

bigdi banat banat ban gayi

goriya manat manat man gayi 

agni jalat jalat jal gayi 

chunari dhalat dhalat dhal gayi 

bata de re goriya, hai wo kaun rasiya 

jo manva churaye is tarah 

hai kaun wo siphaiya jo 

daiya re daiya re hai 

manva churaye mora 

mili thi najar, to kab thi khabar 

man mein wo aise virajega 

man bhadka to yu dhadka 

kya koi danka baajega 

main ghabrayi, main boraayi 

laaj bahut mohe aayi 

jab saiya ne jor se, kas ke 

thaam li mori kalaai 

phir ghir ghir aayi, aake charo aur chhayi

aur tut ke barsi prem badariya 

chhaliya, wo rasiya, julmi man basiya 

bigdi banat banat ban gayi

goriya manat manat man gayi 

badariya ghirat ghirat ghir gayi

bijuriya girat girat gir gayi

beete nahi ratiya mori, katte nahi ab more din 

wa se milu ya na milu 

ye bhi kathin aur wo bhi kathin 

jo na milu to man mora tadpe, mohe bhi tadpaye 

aur milu to dhyaan ye aaye 

wo mohe chhod na jaaye 

wo jo pyar jataye, koi kaise aajmaaye 

jane jhutha hai, ya sachcha hai sawariya 

chhaliya, wo rasiya, julmi man basiya 

bigdi banat banat ban gayi

goriya manat manat man gayi 

najriya milat milat mil gayi 

to goriya khilat khilat khil gayi 

bigdi banat banat ban gayi

goriya manat manat man gayi 

najriya milat milat mil gayi 

to goriya khilat khilat khil gayi

Explore this song