Roman script

ramta jogi bahta pani ma ki kahe kahani 

ma ka naam sada rahta hai baki sab kuch pani 

ma hi mandir ma hi puja 

ma hi mandir ma hi puja 

ma se badhh ke koi na duja 

ma hi mandir ma hi puja 

ma hi mandir ma hi puja 

ma se badhh ke koi na duja 

ma hi mandir 

ma ke puny se jagat bana hai 

ishvar ko bhi ma ne jana hai 

ma mamta ka ek kalash hai 

jivan jot hai amrit ras hai 

kya amber aur kya hai dharti 

ma ki tulna ho nahi sakti yug aate hai yug jaate hai 

ma ki gatha dohrate hai ma ki gatha dohrate hai 

bade bade gyani kahte hai ma ka rutba sabse uncha 

ma hi mandir ma hi puja ma hi mandir ma hi puja 

ma se badh ke koi na duja ma hi mandir

mitti ho gai ma ki kaya bhatak raha hai fir vo saya

kadi dhup mei soch rahi hai laal pe apne kar du chaya

shul bani hai ma ki vivashta vyakul hai sujhe na rasta

shul bani hai ma ki vivashta vyakul hai sujhe na rasta

vyakul hai sujhe na rasta saral bada hai kahna sunana 

kathin bada ye hai ma banana ma hi mandir ma hi puja 

ma hi mandir ma hi puja ma se badh ke koi na duja 

ma hi mandir

janaam janaam ki ma ki dukhiyari 

kar ke har koshish ye hari 

bhai bawari uljh gai hai 

bachche ka sukh dhundh rahi hai

bhukh se munna tadap raha hai 

man ka dheeraj tut gya hai 

aanchal mei hai dudh ki nadiya 

our aankho mei neer bhara hai 

our aankho mei neer bhara hai 

sabko sahara dene wali 

koun bane ab tera sahara

koun bane ab tera sahara

Explore this song