Roman script

lo aaj suno, lo aaj suno

apne shahido ki kahani 

badhte huye chadhte huye

bharat ki jawani, lo aaj suno

sadiyo rahe ye desh videshi ka hi dera

chhaya raha ghanghor gulami ka andhera

par chhin liya apne shahido ne savera

roke se nahi rukti hai dariya ki rawani, lo aaj suno

kitno ka baha khun satawan ke gaddar me

mar mitne ka armaan tha parwano ke sar me

ladte raho aazadi ki subah hai najar me

lalkaar uthi jahnsi se yu lakshmi rani, lo aaj suno

is desh ki wo devi kamar baandh ke aayi

mata ke liye beti ne talvar uthai

dene lage angrej bhi ghabrake duhai

gaddar magar chal hi gaye chaal purani, lo aaj suno

rani ka balidan magar log na bhule

katte hi rahe taki chaman desh ka fule

sindur lute maango ke sune huye jhule

hans hans ke luta dali jawano ne jawani

lo aaj suno, lo aaj suno

apne shahido ki kahani 

badhte huye chadhte huye

bharat ki jawani, lo aaj suno

phie desh me gunj utha tilak ji ka ye nara

aazadi janam se hai adhikar humara

aazadi janam se hai adhikar humara

is nari ne dubi huyi naiya ko ubhara

ghatne laga hatne laga majhdhar ka pani

lo aaj suno

raghupati raghav raja ram 

patit pawan sita ram

raghupati raghav raja ram 

patit pawan sita ram

ishwar allah tere naam

sabko sunmati bhagwan

raghupati raghav raja ram 

patit pawan sita ram

phir aa gaya wo sant jise kahte hai gandhi

kaya thi ahinsa ki magar josh me aandhi

bikhri huyi ye kaum jo ek taar me baandhi

barat pe naye rang se phir aayi jawani

lo aaj suno, lo aaj suno

apne shahido ki kahani 

badhte huye chadhte huye

bharat ki jawani, lo aaj suno

phir mata ka ek aur bhakt aaya bhagat singh

sath apne pahado ka jigar laya bhagat singh

suli pe bhi chadhte huye yu gaaya bhagat singh

yu gaaya bhagat singh

mera rang de basanti chola

maa mera rang de basanti chola

mera rang de basanti chola

maa mera rang de basanti chola

mera rang de basanti chola

maa mera rang de basanti chola

suli pe bhi chadhte huye yu gaaya bhagat singh

yu gaaya bhagat singh

hogi na yaad kabhi bhagat singh ki purani

lo aaj suno

kakor ka ek sher tha par naam tha bismil

wo ram ka prasad gulami ka tha kaatil

ye kahte huye aur shahido se gaya mil

shahido se gaya mil

pass jo kuch bhi hai mata ki najar karte hai

khush rahi ahle watan hum to safar karte hai

ye kahte huye aur shahido se gaya mil

shahido se gaya mil

bhulenge na hindi kabhi us sher ki vaani

lo aaj suno, lo aaj suno

apne shahido ki kahani 

badhte huye chadhte huye

bharat ki jawani, lo aaj suno

bapu ke dikhaye huye raste pe chala desh

subhash ki aur daas ki godo me pala desh

subhash ki aur daas ki godo me pala desh

lajpat ki aur aazad ki seva se fhla desh

aur aaj hai sabse badhkar ye bhala desh

dekhe koi is desh me ganga ki rawani, lo aaj suno

vallabh ne sanwara to jawahar ne nikhara

aao jara ab soche hai kya farz humara

aao jara ab soche hai kya farz humara

hai laalkile se ye jawahar ka ishara

majhdhar se nikle hai mila to ahi kinara

par ye na samajhna ke huyi khtam kahani, lo aaj suno

is desh me jab tak hai koi bhi bhikari

mit jaye na is dharti se jab tak ye bekari

samjho ke sarasar hai ye tauhin humari

samjho ke sarasar hai ye tauhin humari

badhte raho badhte raho badhte raho 

badhte raho badhte raho 

badhte raho manzil ki taraf hindustani

badhte raho badhte raho badhte raho 

badhte raho manzil ki taraf hindustani

badhte raho badhte raho badhte raho 

badhte raho manzil ki taraf hindustani

badhte raho badhte raho badhte raho 

badhte raho badhte raho badhte raho

Explore this song