Roman script

lijo baabul
lijo baabul hamara salam re
ham to jaate hai saajan ke gaam re 
ham to jaate hai saajan ke gaam re 
lijo baabul lijo baabul 
tumhare agana me bachapan bitaya 
tumhare charano me sukh chain paya
saath le kar duaye tamaam re
ham to jaate hai saajan ke gaam re 
ham to jaate hai saajan ke gaam re 
lijo baabul lijo baabul 
ham to daali ke pachhi hai baabul
hamare udane se honaa naa byaakul
aa gai hai basere ki shaam re
ham to jaate hai saajan ke gaam re 
ham to jaate hai saajan ke gaam re 
lijo baabul lijo baabul 
ban ke dulhan chali tumhare ghar se
ab na lautungi pi ke nagar se
sabako pyaaraa hai pritam kaa naam re
ham to jaate hai saajan ke gaam re 
ham to jaate hai saajan ke gaam re 
lijo baabul
lijo baabul hamaaraa salaam re
ham to jaate hai saajan ke gaam re 
ham to jaate hai saajan ke gaam re 
lijo baabul lijo baabul

Song details

Song video

Watch on YouTube

actor: Shyama, Talat Mahmood, Peace Kanwal