Roman script

khoyi khoyi si hu mai 

kyun yeh dil ka haal hai

dhundle sare khwab hai

uljha har khayal hai

sari kaliya murjha gayi

rang unke yaado me reh gaye

sare gharande ret ke 

lehre aayi, lehro me beh gaye

raah me kal kitne chirag the

saamne kal phoolon ke baag the

kis se kahu kaun hai jo sune

kante hi kyu maine hai chune

sapne mere kyu hai kho gaye

jaage hai kyu dil me gum naye

sari kaliya murjha gayi

rang unke yaado me reh gaye

saare gharande ret ke

lehrein aayi, lehron me beh gaye

kya kahu kyu ye dil udaas hai

ab koi door hai na paas hai

chhu le jo dil wo bate ab kaha

wo din kaha rate ab kaha

jo bita kal ab hai khawab sa

ab dil mera hai betab sa

sari kaliya murja gayi

rang unke yaado me reh gaye

sare gharande ret ke 

lehre aayi, lehro me beh gaye beh gaye

Explore this song