Roman script

le liya le liya le liya le liya

sone jaisa dil hire jaisa dil, hire jaisa dil sone jaisa dil

kaudi ke mol le liya le liya le liya le liya

tajmahal sa badan tera kyon bhige jamuna jal me

aaja dhobaniya baho me tujhe shola kar du pal me

o sone chandi ke lachake kaa pehane too yeh garara

sine par hai juna dupatta hay yu pi ne mara

he le liya mera dil yu pi ne le liya

le liya tera dil yu pi ne le liya 

sone jaisa dil hire jaisa dil, hire jaisa dil sone jaisa dil

kaudi ke mol le liya le liya le liya le liya

dariya ganj ki chokari tera rup umadta dariya

phir kyon naa sujhe hari hari mai hariyane kaa hariya

ho o mutiyar panjab di kurta jalidar basanti

nashe ki botal chadhi jawani dole jhukati tanti

le liya mera dil o panjab ne le liya

le liya tera dil panjab ne le liya 

sone jaisa dil hire jaisa dil, hire jaisa dil sone jaisa dil

kaudi ke mol le liya le liya le liya le liya

gori kalai par kali lat jhul rahi hai aaise

sandal ki dali par kala sanp ho lipta jaise

ho naram garam chatpati anokhi bate hain matavali

yeh jalim toh lage hai koyi idali sambhar vali

aiyo le liya mera dil ye madras ne le liya

are le liya tera dil chainnayi ne le liya

sone jaisa dil hire jaisa dil, hire jaisa dil sone jaisa dil

kaudi ke mol le liya le liya le liya le liya

i porila kay sangto bole marathi bhasha

usaki lavni sun le pyare phir too dekh tamasha

ho dekho chikni surat wali surat se hai aati

garbe vali chal batave dikri hai gujarati

han le liya mera dil gujarat ne le liya

le liya tera dil gujarat ne le liya

sone jaisa dil hire jaisa dil, hire jaisa dil sone jaisa dil

kaudi ke mol le liya le liya le liya le liya

angiya me kasata badan toh dekho jaise athanni chhanke

patna ke babu najar se maro kahe biharan tanke

o dur dur tak var kare yeh lambe bal kaa jadu

poorab se pashchim tak chalta hai bangal kaa jadu

he le liya mera dil bangal ne le liya

i holo re le liya tera dil bangal ne le liya

sone jaisa dil hire jaisa dil, hire jaisa dil sone jaisa dil

kaudi ke mol le liya le liya le liya le liya

rup ho german japani ya chini turkistani

bado bado ko mahanga pad jaye lahanga hindustani

o gori ki bindiya pe jhuk jaye aasman kaa tara

sari duniya se pyara hai hindustan hamara

han le liya mera dil hindustan ne le liya

le liya sabaka dil hindustan ne le liya

Explore this song