Roman script

lanka chale ramji ravan se yudh karne ki banar sena sath chali

lanka chale ramji ravan se yudh karne ki banar sena sath chali

chalte chalte khatam ho gayi dharti tab sagar aaya

gahra sagar dekh dekh ke sena ka sir chakraya

yahi soch ke sab man jagi kaise ab jaye aage 

tukur tukur tab sare gauji ram ka mukh dekhan lage 

are kya dekhat ho chalang maro tum sab to ho veer bade

aankh jhapakte sare logwa the sagar ke par

khalbali machi sari lanka me re bhaiya ki halla hoga dwar tale

lanka chale ramji ravan se yudh karne ki banar sena sath chali

lanka chale ramji ravan se yudh karne ki banar sena sath chali

yaha ki batiya yahi pe chhodo ab aage ka hal suno

rawan ke darbar ma kaise aawa hai bhochal suno

meghnath jab khabar sunai he maharaj gazab hoi ga

ram yaha tak aa pahuche hai man ka bada kutab hoi gawa

are dusht are papi mere ramji yaha aa gaye hai

abhi bhi teri aankhe nahi khuli fir to rawan chillaya

jaldi yudh ka maidan jame jab tak na ho koi faisla 

tab tak na talwar thame

bach kar ke jaye na paye ram lakhan hoyi chahe

hoyi chahe bajrangbali

mar ke thakka hasa ke yudh me bandar ka mat khel dihkao

ram khariyat chaho to yahi se tum wapas hoi jao

ye sun ke lakshman bole pahle tu hamse bat karo

bol surpankha ki nak bhul gaye rawan sun ke aag hoi gawa

kar hi baitha pahla war fir to sar sar chalaati or boli

thapak thapak talwar

Explore this song