Roman script

lamha lamha ye bole main jeevan hu

o bhole khul ke jeele, jeele mujhko abhi

lamha lamha ye bole main jeevan hu

o bhole khul ke jeele, jeele mujhko abhi

aao yu hum jhume gaaye, jeevan ko jeena sikhlaye

dil se dil ke taar milaaye

khushiyo ki khushbu chhalakaaye hum sabhi

anjaano ko mit banaaye, ruthe hai jo unhe manaaye

dil ko rishto se lehlehaaye hum abhi

muskuraaye gungunaaye jagmagaaye jhilmilaaye

yaaro jashn hai zindagi

ha yaaro jashn hai zindagi

hai yaaro jashn hai zindagi

lamha lamha ye bole main jeevan hu

o bhole khul ke jeele, jeele mujhko abhi

aao yeh pal yu mehkaaye, do naino ko geet sunaaye

dhadkan ke ghungaroo chhanakaaye 

palkon ki sargam doharaaye hum abhi

mithi yaadein na dhundlaye chanchal baadal banke chhaye

chaahat ka chandan barsaaye har ghadi

muskuraaye gungunaaye jagmagaaye jhilmilaaye

yaaro jashn hai zindagi

hai yaaro jashn hai zindagi

ha yaaro jashn hai zindagi

lamha lamha ye bole main jeevan hu

o bhole khul ke jeele, jeele mujhko abhi

aao yeh pal yu mehakaaye

bachcho mein bachche ban jaaye

mann se jhut ki gard hataaye

thoda paiso ko lalchaaye hum sabhi

lehron ka aanchal dhalakaaye, saagar ka maatha sehlaaye

sapano ka aakaash churaaye hum kabhi

muskuraaye gungunaaye jagmagaaye jhilmilaaye

yaaron jashn hai jindagi

hai yaaro jashn hai zindagi

ha yaaro jashn hai zindagi

lamha lamha ye bole main jeevan hu

o bhole khul ke jeele, jeele mujhko abhi

Explore this song