Roman script

he he he he 

kismat khul gayi re, daulat mil gayi re 

ha liya jo aade haath, dal ye gal gayi re 

noto ki ghar me hui barsaat 

do char das ki nahi, lakho ki hain baat 

kismat khul gayi re, daulat mil gayi re 

ha liya jo aade haath, dal ye gal gayi re 

he kismat khul gayi re 

o maine jo dekha tha sapna suhana 

mere hi gito ko sunega jamana 

aavaj gunjegi jab ye meri 

har koi jhumega hoke divana divana divana 

main jo dekha tha sapna suhana 

main swar ki malika hu, geeto ki rani 

albele rago ki hu zindgani 

ho main swar ki malika hu, geeto ki rani 

albele rago ki hu zindgani 

maine jalaye hain gakar deeye 

main hi bin baadal barsaya pani 

la la la main swar ki malika hu, geeto ki rani 

suhana din aaya hain aha 

jo khushiya laya hain aha 

suhana din aaya hain aha 

jo khushiya laya hain aha 

meri hi takdiro ne aha 

ye jalva dikhaya hain aha 

noto ki ghar me hui barsaat 

do char das ki nahi, lakho ki hain baat 

kismat khul gayi re

ha dekho dekho daulat mil gayi re 

ha liya jo aade haath, dal ye gal gayi re 

he kismat khul gayi re 

bangla juhu pe hoga, hongi kai gadiya 

ghar me gulabo ki hongi phulwariya

ho ho roz hongi partiya mauj udayenge he 

khub hongi mehfile, khub waha gayenge 

he he he bangla juhu pe hoga, bangla juhu pe hoga

hongi kai gadiya, hongi kai gadiya 

bangla juhu pe hoga, bangla juhu pe hoga

hongi kai gadiya, hongi kai gadiya 

noto ki ghar me hui barsaat 

do char das ki nahi, lakho ki hain baat 

kismat khul gayi re

ha dekho dekho daulat mil gayi re 

ha liya jo aade haath, dal ye gal gayi re 

la la la la la la

Explore this song