Roman script

laila majnu do badan ek jaan the

ek jaan the

jajaba-e-ishk-o-wafa ki shaan the

jajaba-e-ishk-o-wafa ki shaan the

jajaba-e-ishk-o-wafa ki shaan the, shaan the

laila majnu do badan ek jan the

ek jaan the, ek jaan the 

do kabile aamri aur sardari

jinme thi pushton purani dushmani

un kabilo ki thi ye noor-e-najar

jinke dil me kar liya ulfat ne ghar

aur ye ulfat ibadat ban gayi

hukm-e-rakt mansa ye kudrat ban gayi

maksad unka tauba ye ulfat bana

ulfat bana ulfat bana

jalwa-e-irukh did ki jannat bana

jalwa-e-irukh did ki jannat bana, jannat bana

laila majnu do badan ek jan the

ek jan the

ek din maktabi mulla ne kaha

sab likho takhti me nam allah ka

sabne likha sirf majnu hi magar 

laila laila likh raha tha bekhabar

laila laila likh raha tha bekhabar

taish is par aa gaya ustaad ko 

kaise sahta khush or ilah ka 

usne majnu ko saja-e-sakht di

har saja ki jard laila par ladi

har saja ki jard laila par ladi

maulwi khafa ye manjar dekh kar

aap dida ho gaya is bhul par

pyar masuno ka ruswa ho gaya

ja baja dono ka charcha ho gaya

jab suna laila ke walid ne ye haal

sharam aayi aur hua behad malaal

usne laila se kaha martab na jaye

ghar ki chokhat se kadam bahar na laye

ek din bekar pahre ho gaye

laila aur majnu achanak kho gaye

dono sardaro ke waisihat chha gayi

mayan se talwar bahar aa gayi

par jo gujre ek nahkmi sitan se

dekhte hi rah gaye hairan se hairan se

laila majnu khel me masrukh the

laila majnu khel me masrukh the

galid majnu ne dekha gaur se

aur kaha laila ke walid se huzur

khelne dije inhe kijiye naa dur 

khelne dije inhe kijiye naa dur 

taias me laila ke walid ne kaha

kal ik yahi khel ek bada ban jayega

baddua hoga gharano ke liye

sharm hoga khandaano ke liye

ye gaddar khich kar laila ka hath

le gaya is tarah usko apne sath

le gaya is tarah usko apne sath

phir na koi dekhne aaya unhe

dekhne paya unhe

jane kis basti me thahraya unhe

jane kis basti me thahraya unhe

jane kis basti me thahraya unhe

Explore this song