Roman script

lag ja gale ke phir ye hasin raat ho na ho

shayad phir is janam me mulaqat ho na ho

lag ja gale ae

humko mili hain aaj ye ghadiyan nasib se

humko mili hain aaj ye ghadiyan nasib se

jee bhar ke dekh lijiye humko qarib se

phir aap ke nasib me ye baat ho na ho

shayad phir is janam me mulaqat ho na ho

lag ja gale ae

paas aaiye ke hum nahin aayenge baar baar

paas aaiye ke hum nahin aayenge baar baar

bahein gale me daal ke hum ro lein zaar zaar

aankhon se phir yeh pyar ki barsat ho na ho

shayad phir is janam me mulaqat ho na ho

lag jaa gale ke phir ye hasin raat ho na ho

shaayad phir iss janam me mulaqat ho na ho

lag ja gale ae ae

Explore this song