Roman script

ladki kahe ki bani ladki kahe ki bani

bolo kahe ki bani ladki kahe ki bani

phulo ki baharo ki makhan ki sakkar ki bani

juth bikul juth na phulo ki bani na sakkar ki bani

ladki pathar ki bani ladka kahe ka bana 

bolo kahe ka bana ladka kahe ka bana 

irado ka faulado ka himmat ka bharose ka

na himmat ka bana na bharose ka bana

ladka dhokhe ka bana ladka dhokhe ka bana

wo kaise jara batao to ruswai karta hai hatha pai karta hai

hota hai harjai bewafai karta hai bewafai karta hai

pehle pyar jagata hai wafa ke geet gata hai

ladki ko jab pa leta hai tab bhul jata hai

ha ha bhul jata hai ha ha bhul jata hai

ek ladka hawa ke jhoke ka bana

ladka dhokhe ka bana ladka dhokhe ka bana

ye to aap apni tarif karti ho soniye aisi to ladki hoti hai soniyo

kis tarah dil tod deti hai mukh mod leti hai

kuch dur sath chalti hai fir chhod deti hai

ha fir chhod deti hai ha fir chhod deti hai

jab chahe thukrade manjil se bhatkade

agar daulat wala mile to dilwale ko latkade

dilwale ko latkade dilwale ko latkade

aaho se na pighle sangmarmar ki bani

ladki pathar ki bani ladki pathar ki bani

fir kyu aahe bharte ho fir kyu hampe marte ho

bhagwan ko bhul ke fir kyu hamko pooja karte ho

hamari pooja karte ho hamari pooja karte ho

batlate hai abhi batlate hai dil kuch aisa fisla hai 

girke fir nahi sambhala hai aurat ke karan baba adam 

jannat se nikla hai fir bhi tumpe marta hai

tumhara hi dam bharta hai khuda ka kaha taal ke

tumhara kaha wo karta hai tumhara kaha wo karta hai

kis muh se kahti ho ladka dhokhe ka bana

ye to himmat ka bana ye bharoshe ka bana

ye to faulado ka bana ye to irado ka bana

ye to faulado ka bana ye to irado ka bana

Explore this song