Roman script

o

laakh zamaane waale daale dilo pe taale

tum bhi na bhulo baalam ham bhi na bhule 

laakh zamaane waale daale dilo pe taale

tum bhi na bhulo baalam ham bhi na bhule 

baalam ham bhi na bhule

o

dil ki lagi pe dekho aanch na aaye

jaan rahe ke jaaye, pyaar na jaaye 

dil ki lagi pe dekho aanch na aaye

jaan rahe ke jaaye, pyaar na jaaye 

bite so bite dekho duniya na jite dekho

tum bhi na bhulo baalam ham bhi na bhule

baalam ham bhi na bhule

o

gam jo tumhaara ho wo gam bhi hai pyaara

mai bhi tumhaari baalam dil bhi tumhaara 

gam jo tumhaara ho wo gam bhi hai pyaara

mai bhi tumhaari baalam dil bhi tumhaara

prit lagi na chhute dor baandhe na tute

tum bhi na bhulo baalam ham bhi na bhule

baalam ham bhi na bhule

laakh zamaane waale daale dilo pe taale

tum bhi na bhulo baalam ham bhi na bhule

baalam ham bhi na bhule

o

Explore this song