Roman script

pal pal koyi paagalpan kyun hota hai

san san ye tan dhak dhak man kyun hota hai

kyun rang naye lagte hai

kyun dhang naye lagte hai

kyun aise mehek jaate hai, kyun ang naye lagte hai

koi ye na jaana, kyun hota hai dil deewaana

kyun hota hai dil deewaana, koi ye na jaana

kyun jaagti aankhon mein bhi khwaab aate hain

kyun main gaau to ye pathar bhi gaate hain

kyun lagte hai ujale ujale ye din saare

kyun shaam ko dil mein dipak se jal jaate hain

kyun raat pighal jaati hai, kyun koi ghata chhati hai

kyun dil karta hai tamanna, kyun nind nahi aati hai

koi ye na jaana, kyun hota hai dil deewaana

kyun hota hai dil deewaana, koi ye na jaana

kyun honto pe ik naam hamesha rehata hai

kyun sach lagta hai sang wo jo bhi kehta hai

kyun armaano ki baarish si hoti hai

kyun sapno ka ik dariya sa behta hai

kyun chaal behak jaati hai, kyun saans lehak jaati hai

kyun jal uthte hai tan man

kyun aag dehak jaati hai

koi ye na jaana, kyun hota hai dil deewaana

kyun hota hai dil deewaana, koi ye na jaana

pal pal koyi paagalpan kyun hota hai

san san ye tan dhak dhak man kyun hota hai

kyun rang naye lagte hai

kyun dhang naye lagte hai

kyun aise mehek jaate hai, kyun ang naye lagte hai

koi ye na jaana, kyun hota hai dil deewaana

kyun hota hai dil deewaana, koi ye na jaana

koi ye na jaana, kyun hota hai dil deewaana

kyun hota hai dil deewaana, koi ye na jaana

koi ye na jaana, kyun hota hai dil deewaana

kyun hota hai dil deewaana, koi ye na jaana

Explore this song