Roman script

kya mere dil ki tanhayi

tumhe chhu ke sharmayi

kya main tumse kah du

kyu naye khabo ke saaye

meri aankhe me lahraye

kya main tumse kah du

kyu koi resham resham hath

chhede mithi dhun me raag

main pighal jaati hu

tham jata hai pal

yu har ek pal

kyu naya lagta hai aakash

kuch karti hu talash

kya main tumse kah du

kyu mujhe hota hai ehsaas

ke tum ho bilkul paas

kya main tumse kah du

kyu tumhe dekhu to har baar

meri saanso me sitar

kai baj uthte hai

saj jata hai tan banke dulhan

kuch din se kyu yahi aata hai khayal

ki sitaro ki ye sham

yu main odhu jaise

har sitara ho tum

ke tum pahli subah ho, meri raato ki

ke tum pahli wajah ho, meri baato ki

ha pahli kasak ho meri dhadhkan ki

ha tum pahli jhalak ho diwanepan ki

main kahin shabnam me khoyi

thi kali jaise koi

mujhe pa liya tumne

dil aangan tha benisha

dhundhla tha har sama

roshan kiya tumne

Explore this song