Roman script

kya ho gaya, kya ho gaya

ye kya ho gaya

kya ho gaya, kya ho gaya

ye kya ho gaya

aasmaan dharti par tuta, dharti ghusi paataal me

aasmaan dharti par tuta, dharti ghusi paataal me

saari duniya aaj sulagti

dhu dhu karti jwaal me

saari duniya aaj sulagti

dhu dhu karti jwaal me

kya ho gaya, kya ho gaya

ye kya ho gaya

panchhi to kat gaya pankh se

sheetal jal gaya thaam

panchhi to kat gaya pankh se

sheetal jal gaya thaam

machhli ne pi liya samunder

nadiya dubi naav me

machhli ne pi liya samunder

nadiya dubi naav me

kya ho gaya, kya ho gaya

ye kya ho gaya

suraj ko jugnu ne nigla

dhup ko nigal gayi chhaya

suraj ko jugnu ne nigla

dhup ko nigal gayi chhaya

chanda ko jarre ne chhupaya

mithe se kadva paya

andhi ko deepak ne bujhaya

sab ke sab ulti maaya

aasmaan waale ho aasmaan waale

haay aasmaan waale teri

dharti ko choti ne khaya

kya ho gaya, kya ho gaya

ye kya ho gaya

Explore this song