Roman script

bho bho bho

yeh galiyon ke aawara bekaar kutte

bho bho bho

ke baksha gaya jinko zauq-e-gadaayi

bho bho bho

zamaane ki phatkaar sarmaaya inka

jahaan bhar ke dutkaar inki kamaayi

bho bho bho

na aaraam shab ko, na raahat savere

ghalaazat me ghar, naaliyon me basere

jo bigde toh ek doosre ko lada do

zara ek roti ka tukda dikha do

yeh har ek ki thokrein khaane wale

yeh paakon se ukta ke mar jaane wale

mazloom, makhlooq gar sar uthaaye

toh insaan sab sarkashi bhool jaaye

yeh chaahe toh duniya ko apna bana lein

bho bho bho

yeh aaqaaon ki haddiyan tak chaba lein

bho bho bho

koi inko ehsaas zillat dila de

koi inki soyi hui dum hila de

bho bho bho

Explore this song