Roman script

kuch sal pehle dosto ye bat hui thi

hamko bhi mohabbat kisi ke sath hui thi

apni bhi kabhi pehli mulakat hui thi

hamko bhi mohabbat kisi ke sath hui thi

kuch sal pehle dosto ye bat hui thi

hamko bhi mohabbat kisi ke sath hui thi

barish me sadak par ha chatri pakad kar

mai ja raha tha yu wo aa rahi thi yu

takra gaye dono ghabra gaye dono

ghabrake ye kaha ji maf kijiye

matlab tha jiska ye dil hamko dijiye

dil hamko dijiye dil hamko dijiye

ho romance ho gaya by chance ho gaya 

romance ho gaya by chance ho gaya 

ham ban gaye sanam tha wakt bahut kam

jaldi se dil diya pandit bula liya

ghode pe baith ke ham dulha ban gaye

ham dulha ban gaye ham dulha ban gaye

kitni hasin wo milan ki rat hui thi

hamko bhi mohabbat kisi ke sath hui thi

kuch saal pehle dosto ye bat hui thi

hamko bhi mohabbat kisi ke sath hui thi

ha kya jane kya khabar kiski lagi najar

vado ko todke yado ko chodke

wo kya bichad gayi duniya ujad gayi

dipak hai lo nahi mai to hu wo nahi

wo nahi wo nahi

hoti wo aaj to dholak bajati wo

hoti wo aaj to dholak bajati wo

masti me jhumti beti ko chumti

deti duaye wo leti balaye wo

gati suhag wo lagti na aag wo

mai jisme jal gaya sab kuch badal gaya

sab kuch badal gaya sab kuch badal gaya

us roj ansuo ki barsat hui thi

hamko bhi mohabbat kisi ke sath hui thi

kuch sal pehle dosto ye bat hui thi

hamko bhi mohabbat kisi ke sath hui thi

nagme hai shikwe hai kisse hai bate hai

nagme hai shikwe hai kisse hai bate hai

bate bhul jati hai yade yaad aati hai 

bate bhul jati hai yade yaad aati hai 

yade yade yade ye yade kisi dilo janam ke 

chale jane ke bada aati hai

Explore this song