Roman script

kuchh na kaho kuchh bhi na kaho

kuchh na kaho kuchh bhi na kaho kya kehna hai kya sunna hai 

mujhko pata hai tumko pata hai samay ka ye pal tham sa gaya hai 

aur is pal me koi nahi hai bas ek mai hu bas ek tum ho

kuchh na kaho kuchh bhi na kaho

kitne gehre halke sham ke rang hai chhalke 

parbat se yu utre baadal jaise aanchal dhalke

sulgi sulgi saanse behki behki dhadkan

mehke mehke shaam ke saaye pighle pighle tanman

sulgi sulgi saanse behki behki dhadkan

mehke mehke shaam ke saaye pighle pighle tanman

aur is pal me koi nahi hai bas ek mai hu bas ek tum ho

kuchh na kaho kuchh bhi na kaho kya kehna hai kya sunna hai

mujhko pata hai tumko pata hai samay ka ye pal tham sa gaya hai

aur is pal me koi nahi hai bas ek mai hu bas ek tum ho

Explore this song