Roman script

kuch tum bahko kuch hum bahke

kuch dil dhadke sanse mahke

bah jaye hum ek dhare me

kya kahti ho is bare me

kya kahti ho is bare me

kya kahti ho is bare me

duri ka sitam ye dil na sahe 

ab tan man me pyar aise rahe 

jaisi garmi angare me

kya kahte ho is bare me

kya kahte ho is bare me

kya kahte ho is bare me

kuch tumne kaha, kuch hamne kaha

phir hosh me to dil raha nahi

jo kuch bhi kaha tumne hi kaha

hamne to abhi kuch kaha nahi

tum sab kuch to kah deti ho

ik halke se ishare me

kya kahti ho is bare me

kya kahte ho is bare me

kya kahti ho is bare me

hum dono mile do phul khile

or sari fiza rangin hui

hum paas aaye badal chhaye

dunia jaise ke hasin hui

ik rang naya laye hum tum

is dunia ke najare me

kya kahte ho is bare me

kya kahte ho is bare me

Explore this song