Roman script

kuch nayi nayi wo baat thi 

shadi ki pahli raat thi

kuch nayi nayi wo baat thi 

shadi ki pahli raat thi

kitne the betab hum

josh tha par hosh tha kam

kuch nayi nayi wo baat thi 

shadi ki pahli raat thi

kuch nayi nayi wo baat thi 

paas wo aayi thi aur muskurai thi

paas wo aayi thi aur muskurai thi

maine hatho me uska hath liya

gajra use us raat diya

chahat ki shuruaat thi

kuch nayi nayi wo baat thi 

shadi ki pahli raat thi

phir roz me gajra lata tha 

ghar jaldi vapas aata tha

zulfo ko mahkata

kya kya kar jata tha

kya kya kar jata tha

kya kya kar jata tha

har raat suhani raat thi 

kuch nayi nayi wo baat thi 

shadi ki pahli raat thi

pahli baar diya jab 

gajra uske hatho me

gajra uske hatho me

gajra uske hatho me

hath uske kaanpe 

aur pyar tha aankho me

pyar tha aankho me

pyar tha aankho me

pyar ki pahli barsat thi

kuch nayi nayi wo baat thi 

shadi ki pahli raat thi

raat ki shuruaat thi 

har raat suhani raat thi 

pyar ki pahli barsat thi

kuch nayi nayi wo baat thi 

ye silsile fir rukne lage

arman dil ke bujhne lage

puchho na kya baat thi

ye bhi nayi kuch baat thi

aaj bhi jab mai kisi phulo 

ki dukan se gujarta hu

nahi bhulta hu mai kabhi

ek gajra kharida karta hu

lekin aaj ye gajra

kambkhat mahakta nahi

pahle ki tarha dil bhi dhadakta nahi

jo wada tumse kiya tha kabhi

wo ab bhi nibhaya karta hu

tasvir pe teri haar nahi

mai gajra sazaya karta hu

mai gajra sazaya karta hu

Explore this song