Roman script

kuch door hamare sath chalo 
ham dil ki kahani kah denge 
samjhe na jise tum aankho se 
wo baat jabani kah degi 
phulo ki tarah jab hontho par 
ik shokh tabssum bikhrega
dhire se tumhare kano mein 
ek baat purani kah denge 
ijhar-e-wafa tum kya samjho 
ikkar-e-wafa tum kya jano
ham jikar karege gairo ka 
aur apni kahani kah denge 
mausam to bada hi jalim hai 
tufan uthata rahta hai 
kuch log magar is halchal ko 
badmast jawani kah denge

Song details

Song video

Watch on YouTube