Roman script

kitni baate yad aati hai, tasvire si ban jaati hai

main kaise inhe bhulu, dil ko kya samjhaau

kitni baate kehne ki hai, hontho par jo sehmi si hai

ik roj inhe sun lo, kyun aise gum sum ho

kyun puri ho naa payi dastan 

kaise aayi hai aisi duriya

dono ke dilo me chhupa hai, jo ik anjana sa gham

kya ho payega woh kam, koi kya kahe

dono ne kabhi jindagi ke, ik mod pe bhi jo payi

hai kaisi woh tanhayi, koi kya kahe

kitna viran hai yeh sama

sanso me jaise ghulta hai dhuwa, kaisi aayi hai aisi duriya

kitni baate yad aati hai, tasvire si ban jaati hai

mai kaise inhe bhulu

tumse aaj yu milke dil ko yad aaye lamhe kal ke

yeh aansu kyun hai chhalke abb kya kahe

tumne hamko dekha jo aise toh ik ummid hai jagi

phir tumse pyar pane ki abb kya kahe

aa gaye ham kahan se kahan

dekhe mudke yeh dil ka karvan 

kaisi aayi hai aisi duriya

kitni baate kehne ki hai, hontho par jo sehmi si hai

ik roj inhe sun lo, kyun aise gum sum ho

kitni baate yad aati hai, tasvire si ban jaati hai

main kaise inhe bhulu, dil ko kya samjhaau

Explore this song