Roman script

kismat ruthi duniya chuti

waqt ne sanso ki bagiya luti

phir bhi milan ki aas na tuti

haye raam kare aisa ho jaaye

raam kare aisa ho jaaye

tu mil jaaye chaahe sab kho jaaye

raam kare aisa ho jaaye

kar diya jeevan tere hawale

kaun hai jo tujhe man se nikale

kar diya jeevan tere hawale

kaun hai jo tujhe man se nikale

lipati hai mujhse teri yaade

mang rahi ho teri murade

raam kare aisa ho jaaye

raam kare aisa ho jaaye

tu mil jaaye chaahe sab kho jaaye

raam kare aisa ho jaaye

raam kare aisa ho jaaye

tere bina kis kaam ka jeena

jeena jaise jaher ka peena

tere bina kis kaam ka jeena

jeena jaise jaher ka peena

tere liye hi meri wafaye

hotho pe aayi dil ki duaye

raam kare aisa ho jaaye

raam kare aisa ho jaaye

tu mil jaaye chaahe sab kho jaaye

raam kare aisa ho jaaye

raam kare aisa ho jaaye

jaise dil ke paas ho dhadkan

tujhse juda hai mera jeevan

jaise dil ke paas ho dhadkan

tujhse juda hai mera jeevan

tere hai hum tere rahenge

antim dam tak hum ye kahenge

raam kare aisa ho jaaye

raam kare aisa ho jaaye

raam kare aisa ho jaaye

raam kare aisa ho jaaye

Explore this song