Roman script

kismat me tabahi likhi thi 

kismat me tabahi likhi thi 

logo ka sitam shana hi pada 

aanhe na juba tak hum laye 

aanhe na juba tak hum laye 

khamosh hume rahana hi pada 

kismat me tabahi likhi thi 

tufan gamo ke uthate hai 

mojo me safina mera hai 

ummid ka shahil dub gya 

duniya me meri andhera hai 

dariya me gunaho ki mujhko 

dariya me gunaho ki mujhko 

afsos ki ab bahana hi pada 

kismat me tabahi likhi thi 

gulshan me bahar aai bhi na thi 

najuk si kali ko lut liya 

barbad jawani  kar dali 

hontho ki hansi ko lut liya 

saiya ji se kya fariyad kare 

saiya ji se kya fariyad kare 

kismat me tabahi likhi thi 

ye inki sarafat hai dekho 

majhdar me lake chhod diya 

masum jawani ko masal 

aur sisa ae dil ko  tod diya 

sikwa na samjh in bato ko 

sikwa na samjh in bato ko 

kismat me tabahi likhi thi 

logo ka sitam shana hi pada 

kismat me tabahi likhi thi

Explore this song