Roman script

khule aam kehte hai

khule aam kehte hai aaj humne pee hai

ya saaki ne humpe meharbaani ki hai

ya saaki ne humpe meharbaani ki hai

hume hosh aata hai behosh ho kar

yahi jindgi hai, yahi jindgi hai

ye kya jindgi hai, ye kya jindgi hai

bade shauk se aaj tumne jo pee hai

jala degi tanman ki ye aag bhi hai

jala degi tanman ki ye aag bhi hai

tumhe hosh aata hai behosh ho kar

ye kya jindgi hai, ye kya jindgi hai

yahi jindgi hai, yahi jindgi hai

adab jindgi ke hume na sikhaao

adab jindgi ke hume na sikhaao

ye humdardi apni hume na dikhaao

zamane ka har rang dekha hai humne

jo hum keh rahe hai use maan jaao

tadapna machalna ye jo bekhudi hai

yahi jindgi hai, yahi jindgi hai

khule aam kehte hai aaj humne pee hai

nazar aa raha hai dikhava tumhara

ke tufa ko samjha hai tumne kinara

ye rasta tabahi ka rasta hai socho

palat aao maano bhi kehna humara

palat aao maano bhi kehna humara

ye jhutha nasha hai ye jhuthi khushi hai

ye kya jindgi hai, ye kya jindgi hai

yahi jindgi hai, yahi jindgi hai

khule aam kehte hai aaj humne pee hai

ye rishte ye bandhan to dhokha hai dhokha

ye rishte ye bandhan to dhokha hai dhokha

khuda par bhi humko nahi ab bharosa

zara dil ka daman badha kar to dekho

jaha kaante honge waha phul hoga

vo jhuthi kahani hai tumne gadhi hai

wahi jindgi hai, wahi jindgi hai

khule aam kehte hai aaj humne pee hai

ya saaki ne humpe meharbaani ki hai

ya saaki ne humpe meharbaani ki hai

hume hosh aata hai behosh ho kar

yahi jindgi hai, yahi jindgi hai

ye kya jindgi hai, ye kya jindgi hai

yahi jindgi hai, yahi jindgi hai

Explore this song