Roman script

Badal raha hai jo shab sahar mein

Khuda wahi hai khuda wahi hai

hai jiska jalwa nazar-nazar mein

khuda wahi hai, khuda wahi hai

Jo Dil ki dhadkan bana hua hai

Jo kaano mein ras gholta hai

Jo Dil ki dhadkan bana hua hai

Jo kaano mein ras gholta hai

Jo jaano dil hai aur jigar hai

khuda wahi hai, khuda wahi hai

khuda wahi hai, khuda wahi hai

Jo phool khushboo gulab mein hai

zameen falak aaftab mein hai

hai jiski rangat shajar shajar mein

khuda wahi hai khuda wahi hai

Explore this song

Song video

Watch on YouTube

Additional song details

language: Hindi

music label: Times Music