Roman script

hey bechain ruh teri justaju

chaya mere dil pe tera sarur

hey bechain ruh teri justaju

chaya mere dil pe tera sarur

yakin hai to aa varna ja laut ja

ishq ko dil ka khuda haafiz

khuda haafiz, khuda haafiz, khuda haafiz

chhuke zara ishq mehsus kar

iss ke jaisa sakun hai kahan

kiya ishq ik baar jisne yahan

uss pe roshan hue do jahan

rishta khushi se jod le ya aas phir tu tod de

ishq ko dil ka khuda haafiz 

khuda haafiz, khuda haafiz, khuda haafiz

laga karaar paani dhundhte hain

bujha de jo pyaas woh jawani dhundhte hain

ishq karne ka shauk hum bhi rakhte hain 

bas tabah hone ki rawani dhundhte hain

zid par agar ishq aaye jaaye

kar de toi zindagi ko tabah

raazi agar ishq ho jaaye

kar de usse to ye jannat adaa

iss rah pe diwane chal ya rah se muh mod le

ishq ko dil ka khuda haafiz 

khuda haafiz, khuda haafiz, khuda haafiz

khudgarz chahe jise ishq kar de

ajab hai ye ik pal sawar

meharban jo ho jaaye ik pal mein kar de 

ye duniya ki naimat adaa

rishta ae ishq tu jod le ya apni rah tu mod le

ishq ko dil ka khuda haafiz

khuda haafiz, khuda haafiz, khuda haafiz

hey bechain ruh teri justaju

chaya mere dil pe tera sarur

hey bechain ruh teri justaju

chaya mere dil pe tera sarur

yakin hai to aa varna ja laut ja

ishq ko dil ka khuda haafiz

khuda haafiz, khuda haafiz, khuda haafiz

Explore this song