Roman script

khun ke aansu rula kar kya milega zindagi 

khun ke aansu rula kar kya milega zindagi 

kis tarah se ji raha hai dekh tera aadami 

khun ke aansu rula kar kya milega zindagi 

nastar se chhalni hai sina 

kadam kadam par mushkil jina 

nastar se chhalni hai sina 

kadam kadam par mushkil jina 

charo taraf majhdar bhanvar hai

kashti tuti shahil chhina 

chup tumhara aasman hai 

chup tumhari ye jamin 

kis tarah se ji raha hai dekh tera aadami 

khun ke aansu rula kar kya milega zindagi 

bhaho par halat ke pahare 

dard ke naina hum par thahre 

bhaho par halat ke pahare 

dard ke naina hum par thahre 

kab tak koi dhir dharega

jakhm hare hai gahare gahare 

kab talk ye julm 

hum par tu karegi zindagi 

kis tarah se ji raha hai dekh tera aadami 

khun ke aansu rula kar kya milega zindagi 

aahon ke mele me akele

majburi bhi hum se khele 

aahon ke mele me akele 

majburi bhi hum se khele

hum ko bana kar khel khilone

tumne rachaye itne mele

ab na koi rahnuma hai 

aur na koi humnashi 

kis tarah se ji raha hai dekh tera aadami 

khun ke aansu rula kar kya milega zindagi

Explore this song