Roman script

kho gaya jane kaha aarzuo ka jaha

kho gaya jane kaha aarzuo ka jaha

muddate gujari magar yaad hai vo dastaa

kho gaya jane kaha aarzuo ka jaha

kho gaya jane kaha

daag mit sakte nahi dil the teri yaad ke

kis tarah bhule koi gujre baharo ka samaa

kho gaya jane kaha aarzuo ka jaha

kho gaya jane kaha

jindagi viran hai ek sahra ki tarah

jindagi viran hai ek sahra ki tarah

dil mera betab hai mauj-e-dariya ki tarah

dil mera betab hai mauj-e-dariya ki tarah

gam ki mai tasveer hu

gam ki mai tasveer hu bekasi ki dastaa

kho gaya jane kaha aarzuo ka jaha

kho gaya jane kaha

kaafile aate rahe kaafile jate rahe

meri manjil ka magar na mila mujhko nishaan

kho gaya jane kaha aarzuo ka jaha

muddate gujari magar yaad hai vo dastaa

kho gaya jane kaha aarzuo ka jaha

kho gaya jane kaha

Explore this song