Roman script

na mai mohabbat na mai tijarat

khilona ban ke mai aa gayi hu

hai baat parde ki to hai parda

mai aaj parde me aa gayi hu

mai aaj parde me aa gayi hu

na mai mohabbat na mai tijarat

khilona ban ke mai aa gayi hu

khilona ban ke mai aa gayi hu

karam se dekho kahar se dekho

mujhe kisi bhi najar se dekho

karam se dekho kahar se dekho

mujhe kisi bhi najar se dekho

kisi ki khatir bani tamasha

kisi ke dhokhe me aa gayi hu

kisi ki khatir bani tamasha

kisi ke dhokhe me aa gayi hu

khilona ban ke mai aa gayi hu

mujhe sikayat nahi kisi se

na dosto se na dushmno se

mujhe sikayat nahi kisi se

na dosto se na dushmno se

chirag dard se jala hai daman

to jaan lutane mai aa gayi hu

chirag dard se jala hai daman

to jaan lutane mai aa gayi hu

khilona ban ke mai aa gayi hu

nakab hum pe nakab un pe

nakab uthne me der kya hai

nakab hum pe nakab un pe

nakab uthne me der kya hai

vo dekhle aaj apna chehra

ke shisha banke mai aa gayi hu

na mai mohabbat na mai tijarat

khilona ban ke mai aa gayi hu

khilona ban ke mai aa gayi hu

Explore this song