Roman script

khel tamaashe wali are aayi re aayi re aayi
kamaal mori bindiya, kamaal mora jhumka
kamaal mori bindiya, kamaal mora jhumka
bajaay ke chalu bichhuva, lagaaye ke chalu thumka
kamaal mori bindiya, kamaal mora jhumka
bajaay ke chalu bichhuva, lagaaye ke chalu thumka
kamaal mori bindiya, kamaal mora jhumka
kamaal mori bindiya ho 
na karu koi gulami, na du kisi ko salaami  
haath aau kisi ke to log kare badnaami
bade gulfaam mile, subah aur sham yaha 
sabhi ko mujhse koi kaam yaha, kaam yaha
huzur main hu tohfa bahaar ke mausam ka 
kamaal mori bindiya, kamaal mora jhumka
kamaal mori bindiya ho 
ek diwane ne puchha, kya teri ho gayi shadi
tu jo kunwari hain aaja banke meri shehzaadi
mere sarkaar suno, sone chandi ke liye 
yaha jo bechte dil main vo nahi, main vo nahi 
maaf karo raja fareb na do hum ka 
kamaal mori bindiya, kamaal mora jhumka
kamaal mori bindiya hay
mere hontho ki hasi, meri aankho ka nasha 
mere aanchal ki hawa, mere julfo ki ghata 
kisi ko maar gayi, kisi ko taar gayi 
mera dil le ek magar, mere dildaar kayi
koi de chhalla, koi anguthi
wada bhi ye jhutha, nishani bhi ye jhuthi
ghunghru bajaati main to jaha jaau
ungli pe saare zamaane ko nachaau
ilaaz karu main to har dil ke har ek gam ka 
kamaal mori bindiya, kamaal mora jhumka
kamaal mori bindiya, kamaal mora jhumka
bajaay ke chalu bichhuva, lagaaye ke chalu thumka
kamaal mori bindiya, kamaal mora jhumka
kamaal mori bindiya hoy

Song details

Song video

Watch on YouTube