Roman script

khat kisi aur ke naam ka hain 
aur lifaafe pe mera pata 
yaani puri tarah se abhi tak 
mujhko bhuli nahi bevafa 
yaani puri tarah se abhi tak 
mujhko bhuli nahi bevafa 
mujhko maalum hain aaj bhi wo 
har ghadi yaad karti hain mujhko 
kya hua jo kisi aur ki hain
mujhko bhuli nahi aaj bhi wo 
bhigi bhigi hui si nigahen 
dekhti hain mera raasta 
yaani puri tarah se abhi tak 
mujhko bhuli nahi bevafa 
khat kisi aur ke naam ka hain 
aur lifaafe pe mera pata 
meri tasvir dil se lagakar 
yaad karti hain wo meri baate 
pyaar mera na sone de usko 
aankho aankho me katati hain raaten
uski hontho pe hain naam mera 
uski nazaro me chehra mera 
yaani puri tarah se abhi tak 
mujhko bhuli nahi bevafa 
yaani puri tarah se abhi tak 
mujhko bhuli nahi bevafa

Song details