Roman script

khanki hain chudiya, chunri lahrayi

unse najar meri, milke jo aayi

khud se hi mai sharma gayi, kya bekhudi chha gayi

ab kya hoga, ab kya hoga 

jab ye socha to ghabra gayi

sara sansara, sara sansara

sara sansara, sara sansara

sara sansara, sara sansara

samne jab aa jaye wo, hosh mera kho jaye

samne jab aa jaye wo, hosh mera kho jaye

baat dil ki keh na paau, jane kya ho jaye

behka na tha mera ye dil, pehle kabhi is tarah

janu na mai, dil pe mere, jadu chala kis tarah

dhadkano ne chupke chupke, dil me li angdayi

khanki hain chudiya, chunri lahrayi

unse najar meri, milke jo aayi

khud se hi mai sharma gayi, kya bekhudi chha gayi

ab kya hoga, ab kya hoga 

jab ye socha to ghabra gayi

uske dil me rehna mujhko, uske rang me rangna

uske dil me rehna mujhko, uske rang me rangna

usne ek din pehnaye the, pyar se mujhko kangna

uske liye sajne lagi, har pal meri zindagi

uski hi to chahat se hai, ab to meri har khushi

uski yaado se mahki hai, ab meri tanhayi

khanki hain chudiya, chunri lahrayi

unse najar meri, milke jo aayi

khud se hi mai sharma gayi, kya bekhudi chha gayi

ab kya hoga, ab kya hoga 

jab ye socha to ghabra gayi

Explore this song