Roman script

hum sunte the jiska fasaana

tu wahin kahin pe doosri zameen pe

khairiyat se hai na

mastaano ka hai jo thikaana

door ik jahaan mein ik naye makaan mein

khairiyat se hai na

na duniya ki duniyadaari hai wahaan

na sapno pe daavedaari hai wahaan

na fikrein zehnon pe bhaari hai wahaan

hai jahaan

jahaan aasan hai khud se mil paana

tu wahin kahin pe doosri zameen pe

khairiyat se hai na

tu bachpan si neendein leta hai na

har mausam bekhauf rehta haina

tu rishte naaton ka qaidi nahin

jo dil mein aaye woh kehta hai na

naamon mein jahaan mazhab koi na

tu wahin kahin pe doosri zameen pe

khairiyat se hai na

aakhir hai jo sabka thikaana

door ik jahaan mein ik naye makaan mein

khairiyat se hai na

Explore this song