Roman script

kon si jane film thi jane kya tha uska naam

kon si jane film thi jane kya tha uska naam amithab ne 

amithab ne kiya tha usme kitna achha kam

my name is anthani gunzalvis 

mai duniya me akela hu my name is anthani gunzalvis 

kon si jane film thi jane kya tha uska naam

baith ke ghode par hiro vo dhoda aaya tha

baith ke ghode par hiro vo dhoda aaya tha

ganje vilan ke panje se rekha ko chhudaya tha

haul me public ne kya kya shor machaya tha

ek hawai gosi ka maine use diya inam

kon si jane film thi jane kya tha uska naam

kon si jane film thi jane kya tha uska naam dharmendar ne

dharmendar ne kiya tha usme kitna dhasu kam

tum meri mehbuba mehbuba mehbuba

o meri mehbuba mehbuba mehbuba

tujhe jana hai to ja teri marji mera kya

uski mehbuba ko jab kuch daku le bhage

uski mehbuba ko jab kuch daku le bhage

hiroin ki chikh se hal me soye sab jage

pichhe rah gaye daku hiro nikal gaya aage

khub ki usne mara mari

khub ki usne mara mari lakho uuse salam

duniya bhi ek film hai dekho jivan iska naam

mujhko hiro samjho ab tum dekho mera kam

lakho filme dekhi jo dekha sab kuch hai yaad

lakho filme dekhi jo dekha sab kuch hai yaad

tum ek do gaane  gao bas interval ke bad

mai aakhir kar dunga tumhe is pinjhre se aazad

mai hiro ka naam nahi hone dunga badnaam

Explore this song