Roman script

kaun hu mai tu kya jane kaun hu mai tu kya jane 

are o diwane raaz agar ye khul jayega 

dekho sabhi ka dil jal jayega 

ban jayenge afsane 

kaun hu mai tu kya jane

are kaun hu mai tu kya jane

paas mere na aana hath mujhe na lagana 

ho jayega jakhm gahara kanto ka mujhpe hai pahara 

paas mere na aana hath mujhe na lagana 

ho jayega jakhm gahara kanto ka mujhpe hai pahara 

gesu mere mahak rahe hai apni dhun me bahak rahe hai 

mere sabhi diwane kaun hu mai tu kya jane

kaun hu mai tu kya jane

jab shola ban jau kya kya rang dikhau 

chahu jise jala du pal me rakh bana du 

jab shola ban jau kya kya rang dikhau 

chahu jise jala du pal me rakh bana du 

ek rat me haste haste jal jate hai meri lau me

kitne hi parwane kaun hu mai tu kya jane

kaun hu mai tu kya jane

are o diwane raaz agar ye khul jayega 

dekho sabhi ka dil jal jayega 

ban jayenge afsane

Explore this song