Roman script

kaash ek din aisa bhi aaye

waqt ka pal pal tham jaaye

saamne bas tum hi raho aur umar gujar jaaye

kaash ek din aisa bhi aaye

waqt ka pal pal tham jaaye

pyaar ruk na paaye chaahe saansein thehar jaaye

tujhe dekhkar tujhe sochkar 

maine jo pal jiya tha

use dil ke hi kisi kone mein

bas kaid kar liya tha

kuchh aur lamhe tumse mile to

duniya sawar jaaye

mere dil ko tum churaake sanam

nazarein nahi churaana

kisi baat par kisi mod par

mujhse na rooth jaana

aisa na ho ke dil mera 

tute aur bikhar jaaye

kaash ek din aisa bhi aaye

waqt ka pal pal tham jaaye

pyaar ruk na paaye chaahe saansein thehar jaaye

Explore this song