Roman script

kasam na lo koi hamse, kasam na hum koi khaayenge

ha kasam na lo koyi hamse, kasam na hum koyi khaayenge

jab tak saath nibhega tab tak saath nibhaayenge

lekin jis din saath nahi nibha toh

gar saath nahi jo nibhega, dil se dil jab na milega

jaise dost juda hote hain, hum wasie juda ho jaayenge

kasam na lo koyi hamse, kasam na hum koyi khaayenge

na ho jinako khud pe bharosa, wahi kasame liya karate hain 

sachche ho jinake iraade, wahi waade kiya karate hain

sachcha ho agar yaaraana toh phir kya yakin dilaana

ho jinako pyaar nibhaana bin bole woh pyaar nibhaayenge

kasam na lo koyi hamse, kasam na hum koyi khaayenge

kabhi juda hone ki naubat hi kyun kar aaye

ek duje ke saanche mein insaan agar dhal jaaye

chehare pe na ho jo nakaabe, do dilon ho jo khuli kitaabein

manjoor agar ho haqiqat, hamein khaab na behaka paayenge

kasam na lo koyi hamse, kasam na hum koyi khaayenge

la la la la la la

Explore this song