Roman script

karwat wo jamane ne badli

na idhar ke rahe na udhar ke rahe

gum marne ka nahi na jine ki khushi

na idhar ke rahe na udhar ke rahe

karwat wo jamane ne badli

jis bag ko sicha tha hamne

pal bhar me fiza ne lut liya haye lut liya

mitti me jawani milti rahi

na idhar ke rahe na udhar ke rahe

karwat wo jamane ne badli

jis phul ko samjhe phul the hum

afsos wahi kata nikla kata nikla

khilne hi na payi dil ki kashi

na idhar ke rahe na udhar ke rahe

karwat wo jamane ne badli

barbad hona likha tha

duniya me jo hum barbad hue barbad hue

takdir ke aage kuch na chali

na idhar ke rahe na udhar ke rahe

karwat wo jamane ne badli

Explore this song