Roman script

karam ki talwar leke, dharm ki lalkaar leke

ek yogi tha, vo yogi tha sabpe bhari

baan uski sadhna tha, yudh to aradhna tha

ek yogi tha, uski to mahima thi nyaari

bargad sa khada tarkash ko chadha

jab jab usne dhanush maroda

ran me kaanpe to kaal thar thar

karam ki talwar leke, dharm ki lalkaar leke

ek yogi tha, vo yogi tha sabpe bhari

baan uski sadhna tha, yudh to aradhna tha

ek yogi tha, vo saadhu tha ya sanghari

jo na kabhi bhi nirbal pe chhute

vo baan bhi hai aur tir wahi hai

jo kaal vachan ki maryada rakhta

to maan lo tum ke veer wahi hai

vo gyaan bhi tha, aisa tha shankar ka

abhimaan bhi tha brahma ka vishnu ka

vo rup le chinghadta tha

ran me kaanpe to kaal thar thar

karam ki talwar leke, dharm ki lalkaar leke

ek yogi tha, uski hai ye gatha sari

baan uski sadhna tha, yudh to aradhna tha

ek yogi tha

vo sheel bhi tha shalin bhi tha

ha chaar me to pandav tha sach me

par saamne jo ghanghor macha ho

vikraal shiv ka tandav tha sach me

gharghor tha vo, uttar tha dakshin tha

ghar aur tha vo, purab aur paschim me

adhikaar ka nish tankaar kare jo

ran me kaanpe to kaal thar thar

karam ki talwar leke, dharm ki lalkaar leke

ek yogi tha, vo yogi tha sabpe bhari

baan uski sadhna tha, yudh to aradhna tha

ek yogi tha par sansaari

bargad sa khada tarkash ko chadha

jab jab usne dhanush maroda

ran me kaanpe to kaal thar thar

Explore this song