Roman script

kankar kankar se mai puchhun
shankar meraa kahaan hai koi bataaye
kankar kankar se mai puchhun
shankar meraa kahaan hai koi bataaye
shikhar shikhar se puchh rahi hun
shankar meraa kahaan hai
gaurivar gagaadhar har har 
shankar meraa kahaan hai koi bataaye
o nil gagan ki chadrkala 
o nil gagan ki chadrkala
tu rehti unke pass bhala
mera kahan gaya pritam bata
meri bigadi kon banaye
kankar kankar se mai puchhun
shankar meraa kahaan hai koi bataaye
haule haule chal phanidhar 
haule haule chal phanidhar 
mai bhi tere sang chalun
tu haule haule chal phanidhar 
tu lipategaa gale shyaam ke 
mai charano me rah lun
meraa dhanya jivan ho jaaye
koi bataaye koi bataaye koi bataaye

Song details

Song video

Watch on YouTube

actor: Nirupa Roy, Trilok Kapoor